Review by Zeela Zafar💞
Multiple topics hain,
6 male lead hain, friends hain, sab ke darmiyan dus saal pehle aisa kuch hua tha jo sab aik dosre se alag hogaye. Ab dus saal baad dobara milay hain.
Wo bhi aise ke FIA ko aik qatil ki diary se un 6 logon ki pics milti hain. Jis se maloom hota he ke in sab ko july ki 6 ko qatal krdia jaayw ga
Ab story in 6 male lead ki hai, ke yeh sab aik dosre se alag kiun hue, unke sath kia hua, or ab agay kia hoga? Qatil ka suuragh kaise lagaya jayega.
Primary topic dosti or dosti ki ahmiyat he, including some humor. Secondary topics mai, generational trauma, mental illness, drug addicted survivor, dysfunction family hai.
Tamam leads ki personal stories isi society se li gai hai is lie aapko in sab mai khamiyan or khoobiyan dono nazar aaien gi. Koi bhi perfect nahi hoga, but sab ki stories se aap zaroor relate kar sakte hain….













Leave a Reply