Kahan tum milo gay by Nighat Seema
Novlet name _ Kahan tum milo gay” published in Khwateen digest April 1987
Writer _ Nighat Seema
Pages _35
Age difference based + Joint family based nice family story hai with mature writing must read 🌹🌹
Heroin Zille Huma ki maa ki death ho chuki walid k sath gaon mai rehti hai jahan uski phupho ne heroin ki parwarish ki hoti.Heroin mai saleeqa naam ko nahi moon phut see hai.Walid ye sab dekh k kafi pareshan se hote ab use taleem ki gharz se uski nani k pas chor gaye hain jahan joint family hai🙂
Heroin ki choti mumani ko heroin k andaz bilkul pasand nahi atey wo us se bohat chirti hai.Bari mumani k bete Fakhar (hero) se heroin engaged hai🥰Jo beroon mulk hai aur kafi nafees tabiyat ka hai unhen bhi ab betay ka mustaqbil tareek nazar araha hota🙂
Nani ko heroin k rang dhang pareshan kiye rakhte aur koshesh kartin keh esmi wo gun ajayen keh hero inkar na kare.Aagay kia hota read karen 🌹 piyari story hai💕
Happy ending hai 🩷🩷













Leave a Reply