Wahi rah muqadar thi by Asia Raees Khan
Novel name _Wahi rah muqadar thi” published in Khwateen digest October 2024
Writer _ Asia Raees Khan
Pages _45
Heroin caretaker based nice family story hai with mature writing must read ♥️♥️
Hero Bilal k walid ki death ho chuki.Hero k rishte k chach ne unki kafi help ki hoti aur un dono maa betay ka khiyal rakhte hain badle mai hero aur uski maa unke ghar k kaam waghaira kar k unke ihsanat ka shukria ada karne ki koshesh karte🌹
Heroin Nuha un Uncle ki beti hai aur kafi maghroor c hai.Wo hero se nokron jesa salook karti.Hero kafi sanjeeda mizaj hai.Heroin k esi rawiye ki waja se wo usay pasand nahi karta🙂
Job milne pe hero aur uski maa kisi dusre shehar shift kar jate.
Heroin k married bhai aur bhabi ki aik hadse mai death ho jati.Ghar k halat bht kharab hojate sab business pesa qarze ki adaigi mai chala jata.Bhai k 2 chote bachon ki parwarish k leye heroin job ki talash shuru karti.Yahi se kahani mai neya morr ata🥰bht piyari story chalti hai with Happy ending ♥️🌹♥️













Leave a Reply